kisi ki yaad mein dil be-qarar rahne de
kisī kī yaad meñ dil be-qarār rahne de
tamām 'umr ġham-e-intizār rahne de
hamāre dil ke chaman meñ to phuul khil na sake
hamāre zaḳhm-e-jigar par bahār rahne de
vafā to vo na kareñge ye jāntā huuñ maiñ
be-e'tibār pe kuchh e'tibār rahne de
ye ashk hī to 'alāmat haiñ merī chāhat kī
tū āñkheñ yūñhī mirī ashk-bār rahne de
kabhī to dekhegā aa kar vo haal 'sāqī' kā
junūñ kā parda yūñhī tār-tār rahne de
kisi ki yaad mein dil be-qarar rahne de
tamam 'umr gham-e-intizar rahne de
hamare dil ke chaman mein to phul khil na sake
hamare zaKHm-e-jigar par bahaar rahne de
wafa to wo na karenge ye jaanta hun main
be-e'tibar pe kuchh e'tibar rahne de
ye ashk hi to 'alamat hain meri chahat ki
tu aankhen yunhi meri ashk-bar rahne de
kabhi to dekhega aa kar wo haal 'saqi' ka
junun ka parda yunhi tar-tar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.