kisi ki yaad mein jaise azab ki KHushbu
kisī kī yaad meñ jaise azaab kī ḳhushbū
bikhar rahī hai varaq se kitāb kī ḳhushbū
thake hue se musāfir kā ḳhvāb lagtī hai
aziyyatoñ ke safar meñ gulāb kī ḳhushbū
is ek ḳhat ne ka.ī hādse sunā Daale
gharoñ meñ phail ga.ī iztirāb kī ḳhushbū
na koī raqs na mahfil na koī jām-o-surūr
bhaTak rahī hai mahal meñ navāb kī ḳhushbū
tamām bhauñre libāsoñ kī tarah lipTe haiñ
badan se phūloñ ke phailī shabāb kī ḳhushbū
simaT ke phail ga.ī āñso.oñ ke saath 'asad'
hamāre ḳhat meñ tumhāre javāb kī ḳhushbū
kisi ki yaad mein jaise azab ki KHushbu
bikhar rahi hai waraq se kitab ki KHushbu
thake hue se musafir ka KHwab lagti hai
aziyyaton ke safar mein gulab ki KHushbu
is ek KHat ne kai hadse suna Dale
gharon mein phail gai iztirab ki KHushbu
na koi raqs na mahfil na koi jam-o-surur
bhaTak rahi hai mahal mein nawab ki KHushbu
tamam bhaunre libason ki tarah lipTe hain
badan se phulon ke phaili shabab ki KHushbu
simaT ke phail gai aansoon ke sath 'asad'
hamare KHat mein tumhaare jawab ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.