kisi ki yaad mein palken zara bhigo lete
kisī kī yaad meñ palkeñ zarā bhigo lete
udaas raat kī tanhā.iyoñ meñ ro lete
dukhoñ kā bojh akele nahīñ sañbhaltā hai
kahīñ vo miltā to us se lipaT ke ro lete
agar safar meñ hamārā bhī ham-safar hotā
baḌī ḳhushī se unhī pattharoñ pe so lete
tumhārī raah meñ shāḳhoñ pe phuul suukh ga.e
kabhī havā kī tarah is taraf bhī ho lete
ye kyā ki roz vahī chāñdnī kā bistar ho
kabhī to dhuup kī chādar bichhā ke so lete
kisi ki yaad mein palken zara bhigo lete
udas raat ki tanhaiyon mein ro lete
dukhon ka bojh akele nahin sanbhalta hai
kahin wo milta to us se lipaT ke ro lete
agar safar mein hamara bhi ham-safar hota
baDi KHushi se unhi pattharon pe so lete
tumhaari rah mein shaKHon pe phul sukh gae
kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete
ye kya ki roz wahi chandni ka bistar ho
kabhi to dhup ki chadar bichha ke so lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.