kisi ki yaad rulae to kya kiya jae
kisī kī yaad rulā.e to kyā kiyā jaa.e
shab-e-firāq satā.e to kyā kiyā jaa.e
jo rafta rafta ġham-e-intizār kī dīmak
mire vajūd ko khaa.e to kyā kiyā jaa.e
shab-e-firāq ho yā ho visāl kā mausam
ye dil sukūn na paa.e to kyā kiyā jaa.e
dikhā ke chāñd sā chehra vo husn kā paikar
asiir apnā banā.e to kyā kiyā jaa.e
sharāb-noshī se maiñ duur bhāgtā huuñ magar
koī nazar se bhulā.e to kyā kiyā jaa.e
mire ilaaj ko kitne tabīb aa.e magar
davā bhī dard baḌhā.e to kyā kiyā jaa.e
sukūn miltā hai jis kī nigāh se 'afzal'
vahī nigāh churā.e to kyā kiyā jaa.e
kisi ki yaad rulae to kya kiya jae
shab-e-firaq satae to kya kiya jae
jo rafta rafta gham-e-intizar ki dimak
mere wajud ko khae to kya kiya jae
shab-e-firaq ho ya ho visal ka mausam
ye dil sukun na pae to kya kiya jae
dikha ke chand sa chehra wo husn ka paikar
asir apna banae to kya kiya jae
sharab-noshi se main dur bhagta hun magar
koi nazar se bhulae to kya kiya jae
mere ilaj ko kitne tabib aae magar
dawa bhi dard baDhae to kya kiya jae
sukun milta hai jis ki nigah se 'afzal'
wahi nigah churae to kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.