kisi kisi pe KHuda mehrban ziyaada hai
kisī kisī pe ḳhudā mehrbāñ ziyāda hai
vo jāntā hai zarūrat kahāñ ziyāda hai
zabāñ se pūchhiye mat haath dekhiye rakh kar
badan meñ dard kahāñ kam kahāñ ziyāda hai
charāġh-e-umr kī lau ne dilā diyā ehsās
ki is meñ raushnī kam hai dhuāñ ziyāda hai
mirī suno to kudūrat kā khel mat khelo
ki is meñ suud bahut kam ziyāñ ziyāda hai
na kiije baat farishtoñ se talḳh lahje meñ
galī meñ shor jo vaqt-e-azāñ ziyāda hai
muqāble kā añdheroñ se hausla hai to phir
zarā sā nuur bhī jugnū miyāñ ziyāda hai
azal se donoñ meñ rishta aTuuT hai to 'amīn'
hayāt maut se kyoñ bad-gumāñ ziyāda hai
kisi kisi pe KHuda mehrban ziyaada hai
wo jaanta hai zarurat kahan ziyaada hai
zaban se puchhiye mat hath dekhiye rakh kar
badan mein dard kahan kam kahan ziyaada hai
charagh-e-umr ki lau ne dila diya ehsas
ki is mein raushni kam hai dhuan ziyaada hai
meri suno to kudurat ka khel mat khelo
ki is mein sud bahut kam ziyan ziyaada hai
na kije baat farishton se talKH lahje mein
gali mein shor jo waqt-e-azan ziyaada hai
muqable ka andheron se hausla hai to phir
zara sa nur bhi jugnu miyan ziyaada hai
azal se donon mein rishta aTuT hai to 'amin'
hayat maut se kyon bad-guman ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.