kisi kitab se noche hue waraq ki tarah
kisī kitāb se noche hue varaq kī tarah
hai be-dayār mohabbat bhī aaj haq kī tarah
haiñ aaj saare qayāfa-shanās hairat meñ
har ek chehra hai ik jumla-e-adaq kī tarah
na apne saath ujālā hai aur na tārīkī
bikhar ga.e haiñ fazāoñ meñ ham shafaq kī tarah
sadā bhaTaktī rahī qahqahoñ ke jangal meñ
maiñ apnā haal sunāyā kiyā sabaq kī tarah
maiñ kaise kartā mukammal nuqūsh hastī ke
ruḳh-e-‘hayāt’ badaltā rahā ufaq kī tarah
kisi kitab se noche hue waraq ki tarah
hai be-dayar mohabbat bhi aaj haq ki tarah
hain aaj sare qayafa-shanas hairat mein
har ek chehra hai ek jumla-e-adaq ki tarah
na apne sath ujala hai aur na tariki
bikhar gae hain fazaon mein hum shafaq ki tarah
sada bhaTakti rahi qahqahon ke jangal mein
main apna haal sunaya kiya sabaq ki tarah
main kaise karta mukammal nuqush hasti ke
ruKH-e-‘hayat’ badalta raha ufaq ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.