kisi ko aks-kashi mein kamal ho na saka
kisī ko aks-kashī meñ kamāl ho na sakā
mah-e-do-hafta harīf-e-jamāl ho na sakā
zabān-e-shauq se kyā harf-e-ārzū nikle
ki jab nigāh se bhī arz-e-hāl ho na sakā
tapāñ thā ḳhāk-e-mohabbat pe dil kā ik zarra
magar vo dard kī zinda misāl ho na sakā
kahāñ jamāl kī vus.at kahāñ dimāġh kā zarf
vo jalva raunaq-e-bazm-e-ḳhayāl ho na sakā
sa.ūd-e-najd ne qurbāniyāñ to liiñ 'sāqib'
haram meñ bāda-e-rañgīñ halāl ho na sakā
kisi ko aks-kashi mein kamal ho na saka
mah-e-do-hafta harif-e-jamal ho na saka
zaban-e-shauq se kya harf-e-arzu nikle
ki jab nigah se bhi arz-e-haal ho na saka
tapan tha KHak-e-mohabbat pe dil ka ek zarra
magar wo dard ki zinda misal ho na saka
kahan jamal ki wusat kahan dimagh ka zarf
wo jalwa raunaq-e-bazm-e-KHayal ho na saka
saud-e-najd ne qurbaniyan to lin 'saqib'
haram mein baada-e-rangin halal ho na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.