kisi ko apna bana lo kisi ke ho jao
kisī ko apnā banā lo kisī ke ho jaao
ki zindagī hai yahī zindagī ke ho jaao
visāl ho ki judā.ī vafā zarūrī hai
bas ek 'ishq karo aur usī ke ho jaao
tum āsmān meñ phirte ho chāñd ban ke kahāñ
zamīñ pe aao mirī shā'irī ke ho jaao
maiñ manziloñ se nikal kar bhaTaknā chāhtā huuñ
ai rāsto mirī āvārgī ke ho jaao
mire gunāh mire saath aao masjid meñ
gavāh tum bhī mirī bandagī ke ho jaao
kisi ko apna bana lo kisi ke ho jao
ki zindagi hai yahi zindagi ke ho jao
visal ho ki judai wafa zaruri hai
bas ek 'ishq karo aur usi ke ho jao
tum aasman mein phirte ho chand ban ke kahan
zamin pe aao meri sha'iri ke ho jao
main manzilon se nikal kar bhaTakna chahta hun
ai rasto meri aawargi ke ho jao
mere gunah mere sath aao masjid mein
gawah tum bhi meri bandagi ke ho jao
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 98)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.