Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ko apne amal ka hisab kya dete

Muneer Niyazi

kisi ko apne amal ka hisab kya dete

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    kisī ko apne amal hisāb kyā dete

    savāl saare ġhalat the javāb kyā dete

    ḳharāb sadiyoñ be-ḳhvābiyāñ thiiñ āñkhoñ meñ

    ab in be-ant ḳhalāoñ meñ ḳhvāb kyā dete

    havā tarah musāfir the dilbaroñ ke dil

    unheñ bas ek ghar azaab kyā dete

    sharāb dil talab thī shara ke pahre meñ

    ham itnī tañgī meñ us ko sharāb kyā dete

    'munīr' dasht shurūa se sarāb-āsā thā

    is aa.ine ko tamannā aab kyā dete

    kisi ko apne amal ka hisab kya dete

    sawal sare ghalat the jawab kya dete

    KHarab sadiyon ki be-KHwabiyan thin aankhon mein

    ab in be-ant KHalaon mein KHwab kya dete

    hawa ki tarah musafir the dilbaron ke dil

    unhen bas ek hi ghar ka azab kya dete

    sharab dil ki talab thi shara ke pahre mein

    hum itni tangi mein us ko sharab kya dete

    'munir' dasht shurua se sarab-asa tha

    is aaine ko tamanna ki aab kya dete

    Source :
    • Book : chhe rangi darwaze (Pg. 69)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now