kisi ko chhoD deta hun kisi ke sath chalta hun
kisī ko chhoḌ detā huuñ kisī ke saath chaltā huuñ
maiñ chaltā huuñ to phir vābastagī ke saath chaltā huuñ
sitāre bāñTne vaale kisī pal lauT ā.eñge
chalo kuchh der yūñhī tīrgī ke saath chaltā huuñ
mujhe ye kyā paḌī hai kaun merā ham-safar hogā
havā ke saath gaatā huuñ nadī ke saath chaltā huuñ
vo kahte haiñ zamāna tez hai lambī masāfat hai
mohabbat kā sitārā huuñ sabhī ke saath chaltā huuñ
badalte mausamoñ kā ḳhvāb huuñ kitne zamānoñ se
yahāñ maiñ kārvān-e-zindagī ke saath chaltā huuñ
manāzir rok lete haiñ mire uThte qadam 'ahmad'
zarā sā bhī agar begānagī ke saath chaltā huuñ
kisi ko chhoD deta hun kisi ke sath chalta hun
main chalta hun to phir wabastagi ke sath chalta hun
sitare banTne wale kisi pal lauT aaenge
chalo kuchh der yunhi tirgi ke sath chalta hun
mujhe ye kya paDi hai kaun mera ham-safar hoga
hawa ke sath gata hun nadi ke sath chalta hun
wo kahte hain zamana tez hai lambi masafat hai
mohabbat ka sitara hun sabhi ke sath chalta hun
badalte mausamon ka KHwab hun kitne zamanon se
yahan main karwan-e-zindagi ke sath chalta hun
manazir rok lete hain mere uThte qadam 'ahmad'
zara sa bhi agar beganagi ke sath chalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.