kisi ko fikr jo di hai to fan nahin deta
kisi ko fikr jo di hai to fan nahin deta
Kaleem Qaisar Balrampuri
MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri
kisī ko fikr jo dī hai to fan nahīñ detā
vo sab ko ek sā tarz-e-suḳhan nahīñ detā
maiñ apnī ḳhāna-nashīnī meñ har tarah ḳhush huuñ
na de koī jo mujhe anjuman nahīñ detā
use ḳhabar hai ki tarz-e-ḳhitāb jāntā huuñ
isī liye mujhe izn-e-suḳhan nahīñ detā
baḌe nasīb se miltī hai aisī jāma-darī
ḳhudā har ek ko dīvāna-pan nahīñ detā
bujhāo tum bhī ise phūñk maar ke 'qaisar'
koī charāġh kī lau meñ dahan nahīñ detā
kisi ko fikr jo di hai to fan nahin deta
wo sab ko ek sa tarz-e-suKHan nahin deta
main apni KHana-nashini mein har tarah KHush hun
na de koi jo mujhe anjuman nahin deta
use KHabar hai ki tarz-e-KHitab jaanta hun
isi liye mujhe izn-e-suKHan nahin deta
baDe nasib se milti hai aisi jama-dari
KHuda har ek ko diwana-pan nahin deta
bujhao tum bhi ise phunk mar ke 'qaisar'
koi charagh ki lau mein dahan nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.