kisi la-ilaj rajai ne ye KHabar chaman mein uDai hai
kisi la-ilaj rajai ne ye KHabar chaman mein uDai hai
Ahmad Nadeem Qasmi
MORE BYAhmad Nadeem Qasmi
kisī lā-ilāj rajā.ī ne ye ḳhabar chaman meñ uḌaa.ī hai
koī patta jab na ho peḌ par to samajh lo fasl-e-gul aa.ī hai
koī ishtirāk zarūr hai vo ho rang kā ki umang kā
mirā dil bhī to gul-e-surḳh hai tirā haath bhī to hinā.ī hai
vo kashish kuchh aur hī chiiz hai jise husn kahte haiñ ahl-e-dil
na jamāl-e-āriz-o-chashm-o-lab na kamāl-e-chust-qabā.ī hai
safar-e-hayāt ke moḌ par mujhe tū milā ki ḳhudā milā
yahī merā ka.aba-e-justujū yahī merī hadd-e-rasā.ī hai
maiñ jhukūñ to chāñd jhukā rahe maiñ rukūñ to vaqt rukā rahe
maiñ tirī vafā kā jab ahl huuñ mire bas meñ saarī ḳhudā.ī hai
maiñ 'nadīm' qarya-e-sīm-o-zar se bhī sar-kashīda guzar gayā
jo mirī anā kā ġhurūr hai mirī umr bhar kī kamā.ī hai
kisi la-ilaj rajai ne ye KHabar chaman mein uDai hai
koi patta jab na ho peD par to samajh lo fasl-e-gul aai hai
koi ishtirak zarur hai wo ho rang ka ki umang ka
mera dil bhi to gul-e-surKH hai tera hath bhi to hinai hai
wo kashish kuchh aur hi chiz hai jise husn kahte hain ahl-e-dil
na jamal-e-ariz-o-chashm-o-lab na kamal-e-chust-qabai hai
safar-e-hayat ke moD par mujhe tu mila ki KHuda mila
yahi mera kaba-e-justuju yahi meri hadd-e-rasai hai
main jhukun to chand jhuka rahe main rukun to waqt ruka rahe
main teri wafa ka jab ahl hun mere bas mein sari KHudai hai
main 'nadim' qarya-e-sim-o-zar se bhi sar-kashida guzar gaya
jo meri ana ka ghurur hai meri umr bhar ki kamai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.