kisi ne ba-wafa samjha kisi ne bewafa samjha
kisī ne bā-vafā samjhā kisī ne bevafā samjhā
mujhe ġhairoñ ne kyā samjhā mujhe apnoñ ne kyā samjhā
ġham-e-paiham huī sābit jise maiñ ne baqā samjhā
hayāt-e-jāvidāñ niklī jise maiñ ne qazā samjhā
ġhalat samjhā zamāne meñ tujhe dard-āshnā samjhā
mirī nazroñ kā dhokā thā maiñ patthar ko ḳhudā samjhā
vafā kī raah meñ khaa.e haiñ aise bhī kabhī dhoke
vo zālim ibtidā niklī jise maiñ intihā samjhā
use dil kā junūñ kahiye ki merī sādgī kahiye
maiñ har ik rahguzar ko aaj us kā naqsh-e-pā samjhā
bahut mumkin thā maujoñ se mirī kashtī nikal aatī
magar vo rāhzan niklā jise maiñ nāḳhudā samjhā
rah-e-ulfat meñ aise bhī 'kañval' aksar maqām aa.e
jahāñ har dil kī dhaḌkan ko maiñ apnī hī sadā samjhā
kisi ne ba-wafa samjha kisi ne bewafa samjha
mujhe ghairon ne kya samjha mujhe apnon ne kya samjha
gham-e-paiham hui sabit jise main ne baqa samjha
hayat-e-jawidan nikli jise main ne qaza samjha
ghalat samjha zamane mein tujhe dard-ashna samjha
meri nazron ka dhoka tha main patthar ko KHuda samjha
wafa ki rah mein khae hain aise bhi kabhi dhoke
wo zalim ibtida nikli jise main intiha samjha
use dil ka junun kahiye ki meri sadgi kahiye
main har ek rahguzar ko aaj us ka naqsh-e-pa samjha
bahut mumkin tha maujon se meri kashti nikal aati
magar wo rahzan nikla jise main naKHuda samjha
rah-e-ulfat mein aise bhi 'kanwal' aksar maqam aae
jahan har dil ki dhaDkan ko main apni hi sada samjha
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 28)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.