Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ne bhi use dekha nahin hai

Mustafa Shahab

kisi ne bhi use dekha nahin hai

Mustafa Shahab

MORE BYMustafa Shahab

    kisī ne bhī use dekhā nahīñ hai

    vo ik ehsās hai chehra nahīñ hai

    mirī jo saañs aa kar rahī hai

    to kyā ye jaan jaanā nahīñ hai

    ajab shahr-e-anā meñ rahā huuñ

    kisī ke paas ā.īnā nahīñ hai

    mujhe jo log rasta de rahe haiñ

    unheñ ḳhud rāsta miltā nahīñ hai

    akelā jo hai ik shaḳhs bāhar

    vo mujh meñ hai magar tanhā nahīñ hai

    mohabbat hai 'shahāb' ik ism-e-āzam

    dar-e-dil ḳhud hotā nahīñ hai

    kisi ne bhi use dekha nahin hai

    wo ek ehsas hai chehra nahin hai

    meri jo sans aa kar ja rahi hai

    to kya ye jaan ka jaana nahin hai

    ajab shahr-e-ana mein ji raha hun

    kisi ke pas aaina nahin hai

    mujhe jo log rasta de rahe hain

    unhen KHud rasta milta nahin hai

    akela sa jo hai ek shaKHs bahar

    wo mujh mein hai magar tanha nahin hai

    mohabbat hai 'shahab' ek ism-e-azam

    dar-e-dil KHud hi wa hota nahin hai

    Source :
    • Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 107)
    • Author : Mustafa Shahab
    • Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now