kisi ne bhi use dekha nahin hai
kisī ne bhī use dekhā nahīñ hai
vo ik ehsās hai chehra nahīñ hai
mirī jo saañs aa kar jā rahī hai
to kyā ye jaan kā jaanā nahīñ hai
ajab shahr-e-anā meñ jī rahā huuñ
kisī ke paas ā.īnā nahīñ hai
mujhe jo log rasta de rahe haiñ
unheñ ḳhud rāsta miltā nahīñ hai
akelā sā jo hai ik shaḳhs bāhar
vo mujh meñ hai magar tanhā nahīñ hai
mohabbat hai 'shahāb' ik ism-e-āzam
dar-e-dil ḳhud hī vā hotā nahīñ hai
kisi ne bhi use dekha nahin hai
wo ek ehsas hai chehra nahin hai
meri jo sans aa kar ja rahi hai
to kya ye jaan ka jaana nahin hai
ajab shahr-e-ana mein ji raha hun
kisi ke pas aaina nahin hai
mujhe jo log rasta de rahe hain
unhen KHud rasta milta nahin hai
akela sa jo hai ek shaKHs bahar
wo mujh mein hai magar tanha nahin hai
mohabbat hai 'shahab' ek ism-e-azam
dar-e-dil KHud hi wa hota nahin hai
- Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 107)
- Author : Mustafa Shahab
- Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.