kisi ne dekh liya tha jo sath chalte hue
kisī ne dekh liyā thā jo saath chalte hue
pahuñch ga.ī hai kahāñ jaane baat chalte hue
safar safar hai kabhī rā.egāñ nahīñ hotā
sar-e-sahar chalī aa.ī hai raat chalte hue
sunā hai tum bhī isī dasht-e-ġham se guzre ho
so ham ne kī hai baḌī ehtiyāt chalte hue
ham apnī ukhḌī huī sāñsoñ ko bahāl kareñ
kahīñ rakhe to sahī kā.enāt chalte hue
havā rukī to ajab husn thā magar 'shahbāz'
girā ga.ī hai ka.ī sūkhe paat chalte hue
kisi ne dekh liya tha jo sath chalte hue
pahunch gai hai kahan jaane baat chalte hue
safar safar hai kabhi raegan nahin hota
sar-e-sahar chali aai hai raat chalte hue
suna hai tum bhi isi dasht-e-gham se guzre ho
so hum ne ki hai baDi ehtiyat chalte hue
hum apni ukhDi hui sanson ko bahaal karen
kahin rakhe to sahi kaenat chalte hue
hawa ruki to ajab husn tha magar 'shahbaz'
gira gai hai kai sukhe pat chalte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.