kisi ne dekha nahin iltija ke lahje mein
kisī ne dekhā nahīñ iltijā ke lahje meñ
hazār phuul khile the duā ke lahje meñ
jo aadmī hai use aadmī milūñgā aur
ḳhudā se baat karūñgā ḳhudā ke lahje meñ
maiñ kohsār pe tesha-ba-dast pahuñchā to
vo shakl bol uThī apsarā ke lahje meñ
ye din dikhā.e haiñ mujh ko mirī mohabbat ne
ki mujh se baat karo tum ḳhudā ke lahje meñ
na jaane kaun thā kyā thā magar achānak hī
vo ham-kalām huā ambiyā ke lahje meñ
ye aur baat ki maiñ sun nahīñ sakā varna
diye ne kuchh to kahā thā havā ke lahje meñ
diye haiñ us ko bahut dard is zamāne ne
hazār zaḳhm haiñ pinhāñ fidā ke lahje meñ
kisi ne dekha nahin iltija ke lahje mein
hazar phul khile the dua ke lahje mein
jo aadmi hai use aadmi milunga aur
KHuda se baat karunga KHuda ke lahje mein
main kohsar pe tesha-ba-dast pahuncha to
wo shakl bol uThi apsara ke lahje mein
ye din dikhae hain mujh ko meri mohabbat ne
ki mujh se baat karo tum KHuda ke lahje mein
na jaane kaun tha kya tha magar achanak hi
wo ham-kalam hua ambiya ke lahje mein
ye aur baat ki main sun nahin saka warna
diye ne kuchh to kaha tha hawa ke lahje mein
diye hain us ko bahut dard is zamane ne
hazar zaKHm hain pinhan fida ke lahje mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.