kisi ne dil ke taq par jala ke rakh diya hamein
kisī ne dil ke taaq par jalā ke rakh diyā hameñ
magar havā-e-hijr ne bujhā ke rakh diyā hameñ
hazār ham ne zabt se liyā thā kaam kyā kareñ
kisī ke āñsuoñ ne phir rulā ke rakh diyā hameñ
hamārī shohrateñ ḳharāb is tarah bhī us ne kiiñ
ki apne āshnāoñ se milā ke rakh diyā hameñ
hameñ is anjuman meñ jaane us ne kyuuñ bulā liyā
bulā liyā aur ik taraf biThā ke rakh diyā hameñ
faqat ham ek dekhne kī chiiz ban ke rah ga.e
kisī ne aisā ishq meñ banā ke rakh diyā hameñ
ham 'e.atibār' us kī har shikast meñ sharīk the
magar bisāt se alag uThā ke rakh diyā hameñ
kisi ne dil ke taq par jala ke rakh diya hamein
magar hawa-e-hijr ne bujha ke rakh diya hamein
hazar hum ne zabt se liya tha kaam kya karen
kisi ke aansuon ne phir rula ke rakh diya hamein
hamari shohraten KHarab is tarah bhi us ne kin
ki apne aashnaon se mila ke rakh diya hamein
hamein is anjuman mein jaane us ne kyun bula liya
bula liya aur ek taraf biTha ke rakh diya hamein
faqat hum ek dekhne ki chiz ban ke rah gae
kisi ne aisa ishq mein bana ke rakh diya hamein
hum 'eatibar' us ki har shikast mein sharik the
magar bisat se alag uTha ke rakh diya hamein
- Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 88)
- Author : Aitabar Sajid
- Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009)
- Edition : 2007,2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.