kisi ne rakkha hai bazar mein saja ke mujhe
kisī ne rakkhā hai bāzār meñ sajā ke mujhe
koī ḳharīd le qīmat mirī chukā ke mujhe
usī kī yaad ke bartan banā.e jaatā huuñ
vahī jo chhoḌ gayā chaak par ghumā ke mujhe
hai mere lafzoñ ko mujh se munāsibat kitnī
maiñ kaisā naġhma huuñ pahchān gungunā ke mujhe
maiñ aisī shāḳh huuñ jis par na phūl-patte haiñ
tū dekh letā kabhī kaash muskurā ke mujhe
kaḌī hai dhuup to sūraj se kyā gilā kiije
yahāñ to chāñd bhī pesh aayā tamtamā ke mujhe
use bhī vaqt kabhī aa.ina dikhā.egā
vo aaj ḳhush hai bahut aa.ina dikhā ke mujhe
qasīde paḌhtā huuñ maiñ us kī dil-navāzī ke
jalīl kartā hai aksar jo ghar bulā ke mujhe
kisi ne rakkha hai bazar mein saja ke mujhe
koi KHarid le qimat meri chuka ke mujhe
usi ki yaad ke bartan banae jata hun
wahi jo chhoD gaya chaak par ghuma ke mujhe
hai mere lafzon ko mujh se munasibat kitni
main kaisa naghma hun pahchan gunguna ke mujhe
main aisi shaKH hun jis par na phul-patte hain
tu dekh leta kabhi kash muskura ke mujhe
kaDi hai dhup to suraj se kya gila kije
yahan to chand bhi pesh aaya tamtama ke mujhe
use bhi waqt kabhi aaina dikhaega
wo aaj KHush hai bahut aaina dikha ke mujhe
qaside paDhta hun main us ki dil-nawazi ke
jalil karta hai aksar jo ghar bula ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.