kisi qismat mein ek ghar nikla
kisī qismat meñ ek ghar niklā
kisī taqdīr meñ safar niklā
zaḳhm se kuchh ġhazal ke sher uge
shāḳh se phuuT kar samar niklā
dost ban kar vafā na kī jis ne
huā dushman to mo'tabar niklā
na.e aañsū the āstīñ ke liye
dāman-e-dil kabhī kā tar niklā
jab ye maanā ki dil meñ Dar hai bahut
tab kahīñ jā ke dil se Dar niklā
kisi qismat mein ek ghar nikla
kisi taqdir mein safar nikla
zaKHm se kuchh ghazal ke sher uge
shaKH se phuT kar samar nikla
dost ban kar wafa na ki jis ne
hua dushman to mo'tabar nikla
nae aansu the aastin ke liye
daman-e-dil kabhi ka tar nikla
jab ye mana ki dil mein Dar hai bahut
tab kahin ja ke dil se Dar nikla
- Book : Soch Samajh (Pg. 53)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.