kisi rahbar ki hai justuju kisi rahnuma ki talash hai
kisī rāhbar kī hai justujū kisī rahnumā kī talāsh hai
jo sharīk-e-mauj-e-hayāt ho usī nāḳhudā kī talāsh hai
na ruḳh-e-sanam kī hai aarzū na dar-e-ḳhudā kī talāsh hai
jo shu.ūr-e-karb atā kare usī dilrubā kī talāsh hai
maiñ jahāñ rukūñ maiñ jahāñ rahūñ tirā ġham rahe mirā ham-safar
yahī mudda.ā mirī zindagī isī mudda.ā kī talāsh hai
baḌhī jab bhī yaas kī tīrgī huiiñ gum nigāh kī manzileñ
rah-e-zindagī jo dikhā sake mujhe us ziyā kī talāsh hai
ye sukūt-e-lab ye ḳhamoshiyāñ mirī kāvishoñ kā sila nahīñ
jo diloñ ko soz-e-hayāt de usī ham-navā kī talāsh hai
na haram meñ mujh ko sukūñ milā na sanam-kade hī meñ rāhateñ
jahāñ zindagī ko yaqīñ mile mujhe aisī jā kī talāsh hai
ye na jaane kaise haiñ peshvā sar-e-rāh Duube gunāh meñ
jo chhupā le un ke uyuub sab unheñ us qabā kī talāsh hai
kisi rahbar ki hai justuju kisi rahnuma ki talash hai
jo sharik-e-mauj-e-hayat ho usi naKHuda ki talash hai
na ruKH-e-sanam ki hai aarzu na dar-e-KHuda ki talash hai
jo shuur-e-karb ata kare usi dilruba ki talash hai
main jahan rukun main jahan rahun tera gham rahe mera ham-safar
yahi muddaa meri zindagi isi muddaa ki talash hai
baDhi jab bhi yas ki tirgi huin gum nigah ki manzilen
rah-e-zindagi jo dikha sake mujhe us ziya ki talash hai
ye sukut-e-lab ye KHamoshiyan meri kawishon ka sila nahin
jo dilon ko soz-e-hayat de usi ham-nawa ki talash hai
na haram mein mujh ko sukun mila na sanam-kade hi mein rahaten
jahan zindagi ko yaqin mile mujhe aisi ja ki talash hai
ye na jaane kaise hain peshwa sar-e-rah Dube gunah mein
jo chhupa le un ke uyub sab unhen us qaba ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.