kisi se bhi nahin hum sabr ki talqin lete hain
kisī se bhī nahīñ ham sabr kī talqīn lete haiñ
hameñ miltī nahīñ jo chiiz us ko chhīn lete haiñ
buḌhāpā aa gayā lekin nahīñ badlā mizāj un kā
abhī tak kapḌe vo apne liye rañgīn lete haiñ
faqīroñ ko kabhī dar se na ḳhālī lauTne denā
duā.eñ dete haiñ ḳhairāt jab miskīn lete haiñ
vo saare log ranj-o-ġham se pā jaate haiñ āzādī
jo sub.h-o-shām vird-e-sūra-e-yāsīn lete haiñ
tumheñ hairat hai kyoñ ahal-e-filistīñ kī shujā.at par
yazīdoñ se sadā lohā to ahl-e-dīn lete haiñ
kisi se bhi nahin hum sabr ki talqin lete hain
hamein milti nahin jo chiz us ko chhin lete hain
buDhapa aa gaya lekin nahin badla mizaj un ka
abhi tak kapDe wo apne liye rangin lete hain
faqiron ko kabhi dar se na KHali lauTne dena
duaen dete hain KHairaat jab miskin lete hain
wo sare log ranj-o-gham se pa jate hain aazadi
jo subh-o-sham wird-e-sura-e-yasin lete hain
tumhein hairat hai kyon ahal-e-filistin ki shujaat par
yazidon se sada loha to ahl-e-din lete hain
- Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.