Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi se ishq karna aur isko ba-KHabar karna

Abbas Ali Khan Bekhud

kisi se ishq karna aur isko ba-KHabar karna

Abbas Ali Khan Bekhud

MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud

    kisī se ishq karnā aur is ko bā-ḳhabar karnā

    hai apne matlab-e-dushvār ko dushvār-tar karnā

    nahīñ hai maut par kuchh iḳhtiyār ai vā-e-majbūrī

    umīd-e-marg meñ mushkil basar karnā magar karnā

    jo par the māya-e-parvāz meñ vaj.h-e-girāñbārī

    ġhurūr-e-bāl-o-par karnā to mujh ko dekh kar karnā

    jafā kar shauq se zabt par mere na hargiz

    shikāyat kyā mujhe ye kaam hai jab 'umr bhar karnā

    jafā un vafā-parvar vafā merī jafā-parvar

    vo un ko 'umr-bhar karnā ye mujh ko 'umr-bhar karnā

    sar-e-rah pūchhte haiñ haal kyā kahiye ki mushkil hai

    bayān-e-dard-e-dil karnā aur is ko muḳhtasar karnā

    tavajjoh chāra-gar bā.is-e-taklīf hai 'beḳhud'

    izāfa hai musībat meñ davāoñ asar karnā

    kisi se ishq karna aur is ko ba-KHabar karna

    hai apne matlab-e-dushwar ko dushwar-tar karna

    nahin hai maut par kuchh iKHtiyar ai wa-e-majburi

    umid-e-marg mein mushkil basar karna magar karna

    jo par the maya-e-parwaz mein wajh-e-giranbari

    ghurur-e-baal-o-par karna to mujh ko dekh kar karna

    jafa kar shauq se tu zabt par mere na ja hargiz

    shikayat kya mujhe ye kaam hai jab 'umr bhar karna

    jafa un ki wafa-parwar wafa meri jafa-parwar

    wo un ko 'umr-bhar karna ye mujh ko 'umr-bhar karna

    sar-e-rah puchhte hain haal kya kahiye ki mushkil hai

    bayan-e-dard-e-dil karna aur is ko muKHtasar karna

    tawajjoh chaara-gar ki bais-e-taklif hai 'beKHud'

    izafa hai musibat mein dawaon ka asar karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now