kisi se ishq karna aur usko ba-KHabar karna
kisi se ishq karna aur usko ba-KHabar karna
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
kisī se ishq karnā aur us ko bā-ḳhabar karnā
hai apne matlab-e-dushvār ko dushvār tar karnā
nahīñ hai maut par bhī iḳhtiyār ai vā-e-majbūrī
umīd-e-marg meñ mushkil basar karnā magar karnā
qafas meñ qaid karnā thā to bāl-o-par katarne the
sitam hai bāl-o-par rakhte hue bhī yuuñ basar karnā
jo par the māya-e-parvāz haiñ vaj.h-e-girāñ-bārī
ġhurūr-e-bāl-o-par karnā to mujh ko dekh kar karnā
banā kar jaur kā ḳhūgar ināyat kī nazar karnā
jafā kar shauq se tū zabt par mere na jā hargiz
shikāyat kyā mujhe ye kaam hai jab umr bhar karnā
jafā un kī vafā-parvar vafā merī jafā-parvar
vo un ko umr bhar karnā ye mujh ko umr bhar karnā
sar-e-rah pūchhte haiñ haal kyā kahiye ki mushkil hai
bayān-e-dard-e-dil karnā aur us ko muḳhtasar karnā
tavajjoh chārāgar kī bā.is-e-taklīf hai 'beḳhud'
izāfa hai musībat meñ davāoñ kā asar karnā
kisi se ishq karna aur us ko ba-KHabar karna
hai apne matlab-e-dushwar ko dushwar tar karna
nahin hai maut par bhi iKHtiyar ai wa-e-majburi
umid-e-marg mein mushkil basar karna magar karna
qafas mein qaid karna tha to baal-o-par katarne the
sitam hai baal-o-par rakhte hue bhi yun basar karna
jo par the maya-e-parwaz hain wajh-e-giran-bari
ghurur-e-baal-o-par karna to mujh ko dekh kar karna
bana kar jaur ka KHugar inayat ki nazar karna
jafa kar shauq se tu zabt par mere na ja hargiz
shikayat kya mujhe ye kaam hai jab umr bhar karna
jafa un ki wafa-parwar wafa meri jafa-parwar
wo un ko umr bhar karna ye mujh ko umr bhar karna
sar-e-rah puchhte hain haal kya kahiye ki mushkil hai
bayan-e-dard-e-dil karna aur us ko muKHtasar karna
tawajjoh chaaragar ki bais-e-taklif hai 'beKHud'
izafa hai musibat mein dawaon ka asar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.