kisi se jab na uTTha to uTTha bar-e-garan humse
kisī se jab na uTThā to uTThā bār-e-garāñ ham se
milā sakte nahīñ ab aañkh sātoñ āsmāñ ham se
hañsā kar ek do din 'umr bhar āḳhir rulātā hai
'ajab aTkheliyāñ kartā hai daur-e-āsmāñ ham se
hamārā jab ye honā bhī na hone ke barābar hai
tū āḳhir kyoñ ḳhafā baiThī hai marg-e-nā-gahāñ ham se
abhī pesh-e-nazar ta.amīr-e-fardā kī haiñ tajvīzeñ
hazāroñ gaam baazī le ga.ī 'umr-e-ravāñ ham se
afākallāh ai daur-e-falak ham muntazir hī the
ki kab āñkheñ churāte haiñ hamāre mehrbāñ ham se
hai jab dushvār ik lahore hī ko chhoḌnā 'sā.ib'
to phir is haal meñ chhūTegā kyā hindostāñ ham se
kisi se jab na uTTha to uTTha bar-e-garan hum se
mila sakte nahin ab aankh saton aasman hum se
hansa kar ek do din 'umr bhar aaKHir rulata hai
'ajab aTkheliyan karta hai daur-e-asman hum se
hamara jab ye hona bhi na hone ke barabar hai
tu aaKHir kyon KHafa baiThi hai marg-e-na-gahan hum se
abhi pesh-e-nazar tamir-e-farda ki hain tajwizen
hazaron gam bazi le gai 'umr-e-rawan hum se
afakallah ai daur-e-falak hum muntazir hi the
ki kab aankhen churaate hain hamare mehrban hum se
hai jab dushwar ek lahore hi ko chhoDna 'saib'
to phir is haal mein chhuTega kya hindostan hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.