kisi se kahin ji lagane se pahle
kisī se kahīñ jī lagāne se pahle
zarā pūchh lete zamāne se pahle
qayāmat kī bābat batāte nahīñ ho
na aane se pahle na jaane se pahle
ye dil haiñ ye āñkheñ bahut muztarib haiñ
Thikāne lagā jaao jaane se pahle
bhalā.ī bhī thoḌī sī jholī meñ hotī
gunāhoñ kī jannat kamāne se pahle
taġhayyur har ik zindagī kā muqaddar
maiñ royā bahut muskurāne se pahle
kisī ne bhī hāsil kī bābat na sochā
zamīnoñ pe lāsheñ girāne se pahle
bahut chain se zindagī kaT rahī thī
fareb-e-mohabbat meñ aane se pahle
yahāñ zindagī lahlahātī thī har sū
yahāñ khet the kār-ḳhāne se pahle
kisi se kahin ji lagane se pahle
zara puchh lete zamane se pahle
qayamat ki babat batate nahin ho
na aane se pahle na jaane se pahle
ye dil hain ye aankhen bahut muztarib hain
Thikane laga jao jaane se pahle
bhalai bhi thoDi si jholi mein hoti
gunahon ki jannat kamane se pahle
taghayyur har ek zindagi ka muqaddar
main roya bahut muskurane se pahle
kisi ne bhi hasil ki babat na socha
zaminon pe lashen girane se pahle
bahut chain se zindagi kaT rahi thi
fareb-e-mohabbat mein aane se pahle
yahan zindagi lahlahati thi har su
yahan khet the kar-KHane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.