kisi se KHauf khate hain na dab kar baat karte hain
kisi se KHauf khate hain na dab kar baat karte hain
Zaheer Ahmad Zaheer
MORE BYZaheer Ahmad Zaheer
kisī se ḳhauf khāte haiñ na dab kar baat karte haiñ
sadāqat ke payambar jab bhī haq par baat karte haiñ
nahīñ hai hausla jin meñ haqīqat pesh karne kā
na aate rū-ba-rū haiñ vo na khul kar baat karte haiñ
batā dete haiñ ahvāl-e-dil-o-rāz-e-nihāñ chehre
ḳhamoshī ho laboñ par laakh tevar baat karte haiñ
nahīñ sheva hamārā phir mukarne kā badalne kā
jo dil meñ hai zabāñ se ham vo khul kar baat karte haiñ
sabab ḳhud aap hī bante haiñ vo apnī tabāhī kā
hasad kī aag meñ jo log jal kar baat karte haiñ
hamārā hī jigar hai ye hamārā hausla hai ye
ho dil pe zaḳhm gahrā bhī to hañs kar baat karte haiñ
kisi se KHauf khate hain na dab kar baat karte hain
sadaqat ke payambar jab bhi haq par baat karte hain
nahin hai hausla jin mein haqiqat pesh karne ka
na aate ru-ba-ru hain wo na khul kar baat karte hain
bata dete hain ahwal-e-dil-o-raaz-e-nihan chehre
KHamoshi ho labon par lakh tewar baat karte hain
nahin shewa hamara phir mukarne ka badalne ka
jo dil mein hai zaban se hum wo khul kar baat karte hain
sabab KHud aap hi bante hain wo apni tabahi ka
hasad ki aag mein jo log jal kar baat karte hain
hamara hi jigar hai ye hamara hausla hai ye
ho dil pe zaKHm gahra bhi to hans kar baat karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.