kisi suragh se kamre mein nur utrega
kisī surāġh se kamre meñ nuur utregā
zarūr añdheroñ kā ik din ġhurūr utregā
ḳhafā hai mujh se to us ko ḳhafā hī rahne do
milūñgā us se to ġhussa zarūr utregā
patā chalegā tabhī kyā gañvā diyā tum ne
tumhāre sar se jab us kā fitūr utregā
bas intizār meñ rah jā.egī vo shahzādī
uḌan-khaTolā kahīñ jā ke duur utregā
chamak uThegā ye paanī bhī chāñdnī kī tarah
ye chāñd dariyā meñ jab chūr-chūr utregā
kiye pe apne tū pachhtā.egā ba-har-sūrat
kharā kasauTī pe jab be-qusūr utregā
kisi suragh se kamre mein nur utrega
zarur andheron ka ek din ghurur utrega
KHafa hai mujh se to us ko KHafa hi rahne do
milunga us se to ghussa zarur utrega
pata chalega tabhi kya ganwa diya tum ne
tumhaare sar se jab us ka fitur utrega
bas intizar mein rah jaegi wo shahzadi
uDan-khaTola kahin ja ke dur utrega
chamak uThega ye pani bhi chandni ki tarah
ye chand dariya mein jab chur-chur utrega
kiye pe apne tu pachhtaega ba-har-surat
khara kasauTi pe jab be-qusur utrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.