kisi surat agar izhaar ki surat nikal aae
kisī sūrat agar iz.hār kī sūrat nikal aa.e
to mumkin hai kisī se pyaar kī sūrat nikal aa.e
masīhā.ī pe vo kāfir agar īmān le aa.e
shifā kī shakl meñ bīmār kī sūrat nikal aa.e
agar vo bevafā zid chhoḌ de aur Thiik ho jaa.e
to shāyad phir mire ghar-bār kī sūrat nikal aa.e
koī to mo.ajaza aisā bhī ho apnī mohabbat meñ
tire inkār se iqrār kī sūrat nikal aa.e
bahut din ho ga.e 'arshad' vo mukhḌā chāñd sā dekhe
duā karnā koī dīdār kī sūrat nikal aa.e
kisi surat agar izhaar ki surat nikal aae
to mumkin hai kisi se pyar ki surat nikal aae
masihai pe wo kafir agar iman le aae
shifa ki shakl mein bimar ki surat nikal aae
agar wo bewafa zid chhoD de aur Thik ho jae
to shayad phir mere ghar-bar ki surat nikal aae
koi to moajaza aisa bhi ho apni mohabbat mein
tere inkar se iqrar ki surat nikal aae
bahut din ho gae 'arshad' wo mukhDa chand sa dekhe
dua karna koi didar ki surat nikal aae
- Book : Urdu Gazal Ka Magribi Daricha (Pg. 182)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitabsaray Lahore (Pakistan) (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.