kisi tamanna kisi dua mein asar nahin hai
kisī tamannā kisī duā meñ asar nahīñ hai
ḳhudā yaqīnan hai vo hamārā magar nahīñ hai
adū hī mil jaa.e fī-zamāna koī musammam
rafīq to ḳhair koī bhī mo'atabar nahīñ hai
ye mas.ala aur hai ki chup haiñ zabān-dāñ sab
mo.āmla ye nahīñ koī bā-ḳhabar nahīñ hai
vahī hai kaifiyyat-e-asīrī muhīt agarche
khulī hai zanjīr band zindāñ kā dar nahīñ hai
rafāqatoñ kī hamāhamī mushtarak bahut hai
magar diloñ kā tapāk bāham-digar nahīñ hai
ravāna kis qāfile ke hamrāh ho ga.e ham
musalsal ehsās hai koī ham-safar nahīñ hai
gar aadmī aadmī se paa.e amaan 'shaukat'
to phir kisī bhī muhīb aafat kā Dar nahīñ hai
kisi tamanna kisi dua mein asar nahin hai
KHuda yaqinan hai wo hamara magar nahin hai
adu hi mil jae fi-zamana koi musammam
rafiq to KHair koi bhi mo'atabar nahin hai
ye masala aur hai ki chup hain zaban-dan sab
moamla ye nahin koi ba-KHabar nahin hai
wahi hai kaifiyyat-e-asiri muhit agarche
khuli hai zanjir band zindan ka dar nahin hai
rafaqaton ki hamahami mushtarak bahut hai
magar dilon ka tapak baham-digar nahin hai
rawana kis qafile ke hamrah ho gae hum
musalsal ehsas hai koi ham-safar nahin hai
gar aadmi aadmi se pae aman 'shaukat'
to phir kisi bhi muhib aafat ka Dar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.