kisi tarah ki ibaadat rawa nahin rakhunga
kisī tarah kī 'ibādat ravā nahīñ rakhūñgā
sanam rakhūñgā maiñ dil meñ ḳhudā nahīñ rakhūñgā
tamām-'umr guzārūñgā ābyārī meñ
kuchh is tarah ki maiñ ḳhud ko harā nahīñ rakhūñgā
jo aane vaale hoñ pahle se ittilā' kareñ
ki 'umr-bhar to maiñ ḳhud ko khulā nahīñ rakhūñgā
maiñ jam ke so.ūñgā ā.ūñgā ḳhvāb meñ milne
firāq meñ bhī kabhī rat-jagā nahīñ rakhūñgā
kisi tarah ki 'ibaadat rawa nahin rakhunga
sanam rakhunga main dil mein KHuda nahin rakhunga
tamam-'umr guzarunga aabyari mein
kuchh is tarah ki main KHud ko hara nahin rakhunga
jo aane wale hon pahle se ittila' karen
ki 'umr-bhar to main KHud ko khula nahin rakhunga
main jam ke sounga aaunga KHwab mein milne
firaq mein bhi kabhi rat-jaga nahin rakhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.