kisi tarah to use mar dun jo bahar hai
kisī tarah to use maar duuñ jo bāhar hai
vo shaḳhs kaise maregā jo mere andar hai
sikhā diyā mujhe ādāb-e-guftugū tū ne
mire liye to tirā husn hī grammar hai
ab us ke sāmne sach bolne na lag jaanā
vo mere baare meñ pūchhe to kahnā behtar hai
lo ab to baiThe-biThā.e hī diid hotī hai
vabā kā daur hai so āj-kal vo ghar par hai
ab aise meñ mire dil se duā hī niklegī
vo surḳh joḌe meñ jo aaj ban-sañvar kar hai
phir ashk ho ga.e be-mol jab ye us ne kahā
nikāl duuñ maiñ tirī aañkh meñ jo kankar hai
har ek raah se guzrā huuñ be-niyāzāna
'atā' ġharaz kā pujārī nahīñ qalandar hai
kisi tarah to use mar dun jo bahar hai
wo shaKHs kaise marega jo mere andar hai
sikha diya mujhe aadab-e-guftugu tu ne
mere liye to tera husn hi grammar hai
ab us ke samne sach bolne na lag jaana
wo mere bare mein puchhe to kahna behtar hai
lo ab to baiThe-biThae hi did hoti hai
waba ka daur hai so aaj-kal wo ghar par hai
ab aise mein mere dil se dua hi niklegi
wo surKH joDe mein jo aaj ban-sanwar kar hai
phir ashk ho gae be-mol jab ye us ne kaha
nikal dun main teri aankh mein jo kankar hai
har ek rah se guzra hun be-niyazana
'ata' gharaz ka pujari nahin qalandar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.