Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi to kaam zamane ke sogwar aae

Mustafa Zaidi

kisi to kaam zamane ke sogwar aae

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    kisī to kaam zamāne ke sogvār aa.e

    tujhe jo na sake ziist ko sañvār aa.e

    thā jis pe va.ada-e-firdaus-o-āqibat madār

    vo raat ham sar-e-kū-e-butāñ guzār aa.e

    tire ḳhayāl pe shab-ḳhūñ to ḳhair kyā karte

    bahut huā to ik ochhā haat maar aa.e

    matā-e-dil bachī thī bas ik zamāne se

    so ham ise bhī tirī anjuman meñ haar aa.e

    baḌe ḳhulūs se ahvāl pūchhne ke liye

    guzar ga.ī shab-e-furqat to mere yaar aa.e

    kisī ko haal batānā zarūr kyā thā

    us anjuman se ham apne qusūr-vār aa.e

    nigāh-e-nāz mire dil ke ghaav par mat

    ḳhudā kare ki tujhe apnā kārobār aa.e

    ye aur baat ki saaqī se qarz mil na sakī

    huzūr-e-hazrat-e-yazdāñ to bā-vaqār aa.e

    kisi to kaam zamane ke sogwar aae

    tujhe jo pa na sake zist ko sanwar aae

    tha jis pe wada-e-firdaus-o-aqibat ka madar

    wo raat hum sar-e-ku-e-butan guzar aae

    tere KHayal pe shab-KHun to KHair kya karte

    bahut hua to ek ochha sa hat mar aae

    mata-e-dil hi bachi thi bas ek zamane se

    so hum ise bhi teri anjuman mein haar aae

    baDe KHulus se ahwal puchhne ke liye

    guzar gai shab-e-furqat to mere yar aae

    kisi ko haal batana zarur hi kya tha

    us anjuman se hum apne qusur-war aae

    nigah-e-naz mere dil ke ghaw par mat ja

    KHuda kare ki tujhe apna karobar aae

    ye aur baat ki saqi se qarz mil na saki

    huzur-e-hazrat-e-yazdan to ba-waqar aae

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(shahr-e-aazar) (Pg. 157)
    • Author : Mustafa Zaidi
    • Publication : Alhamd Publications (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now