kisi zamin se kisi aasman se aate hain
kisī zamīñ se kisī āsmāñ se aate haiñ
ġhazal ke sher to donoñ jahāñ se aate haiñ
vo chand lafz dhaḌakte haiñ jo diloñ kī tarah
mirī zabān meñ terī zabāñ se aate haiñ
chale jo dar se tire kho ga.iiñ sabhī samteñ
batā.eñ kaise ki ab ham kahāñ se aate haiñ
jahāñ pahuñch ke na lauTe kabhī farishte bhī
vo ḳhuld ho ki na ho ham vahāñ se aate haiñ
vo ham-safar ki jo rahte haiñ āḳhirī dam tak
bahut purānī kisī dāstāñ se aate haiñ
kisi zamin se kisi aasman se aate hain
ghazal ke sher to donon jahan se aate hain
wo chand lafz dhaDakte hain jo dilon ki tarah
meri zaban mein teri zaban se aate hain
chale jo dar se tere kho gain sabhi samten
bataen kaise ki ab hum kahan se aate hain
jahan pahunch ke na lauTe kabhi farishte bhi
wo KHuld ho ki na ho hum wahan se aate hain
wo ham-safar ki jo rahte hain aaKHiri dam tak
bahut purani kisi dastan se aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.