aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain

Ghulam Mohammad Qasir

kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    kitāb-e-ārzū ke gum-shuda kuchh baab rakkhe haiñ

    tire takiye ke nīche bhī hamāre ḳhvāb rakkhe haiñ

    makāñ to sat.h-e-dariyā par banā.e haiñ habāboñ ne

    asāse ghar ke lekin sab ne zer-e-āb rakkhe haiñ

    ye kankar un se pahle haath par lahreñ banā legā

    hamārī raah meñ chāhat ne jo tālāb rakkhe haiñ

    kināroñ par pahuñch kar tairne lagtī haiñ tasvīreñ

    samundar ne safīne to pas-e-girdāb rakkhe haiñ

    hamāre ghar buniyādoñ ke patthar kyā hue āḳhir

    kahīñ tūfān ke TukḌe kahīñ sailāb rakkhe haiñ

    tire aane se pahle jin ko murjhāne jaldī thī

    vahī patte havā-e-hijr ne shādāb rakkhe haiñ

    kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain

    tere takiye ke niche bhi hamare KHwab rakkhe hain

    makan to sath-e-dariya par banae hain hababon ne

    asase ghar ke lekin sab ne zer-e-ab rakkhe hain

    ye kankar un se pahle hath par lahren bana lega

    hamari rah mein chahat ne jo talab rakkhe hain

    kinaron par pahunch kar tairne lagti hain taswiren

    samundar ne safine to pas-e-girdab rakkhe hain

    hamare ghar ki buniyaadon ke patthar kya hue aaKHir

    kahin tufan ke TukDe kahin sailab rakkhe hain

    tere aane se pahle jin ko murjhane ki jaldi thi

    wahi patte hawa-e-hijr ne shadab rakkhe hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now