kitab-e-ishq ke jo moatabar risale hain
kitāb-e-ishq ke jo mo'atabar risāle haiñ
unhīñ meñ husn ke kuchh mustanad havāle haiñ
ba-zo.am-e-jabr tasarruf meñ jin ke duniyā thī
vo aaj rahm kī taḳhtī gale meñ Daale haiñ
na jaane kaun sī aafat kā pesh-ḳhema hai
ye barg sabz havāoñ ne kyuuñ uchhāle haiñ
ḳhabar uḌaao ki peshānī-e-siyāsat par
ham apne fāqoñ kī tafsīl likhne vaale haiñ
panāh mujh ko milī aise shahr meñ 'anjum'
jahāñ pe aaj bhī tahzīb ke ujāle haiñ
kitab-e-ishq ke jo mo'atabar risale hain
unhin mein husn ke kuchh mustanad hawale hain
ba-zoam-e-jabr tasarruf mein jin ke duniya thi
wo aaj rahm ki taKHti gale mein Dale hain
na jaane kaun si aafat ka pesh-KHema hai
ye barg sabz hawaon ne kyun uchhaale hain
KHabar uDao ki peshani-e-siyasat par
hum apne faqon ki tafsil likhne wale hain
panah mujh ko mili aise shahr mein 'anjum'
jahan pe aaj bhi tahzib ke ujale hain
- Book : Khamoshiyaon Ka Nagma (Pg. 30)
- Author : Dr. Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.