kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare
kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare
Josh Malsiani
MORE BYJosh Malsiani
kitāboñ ne go isti.āroñ meñ ham ko batā.e bahut se Thikāne tumhāre
magar kuchh vazāhat se apnā patā do samajhte nahīñ ham ye mub.ham ishāre
har ik phuul gulshan meñ ye kah rahā hai har ik jām-e-mai se ye ham sun rahe haiñ
zamāne kī nazroñ meñ ghar hai usī kā jo hañs hañs ke din zindagī ke guzāre
na ahl-e-haram ne madad kī hamārī na ahl-e-kalīsā ne ġham-ḳhvāriyāñ kiiñ
agar tū bhī tarz-e-taġhāful na chhoḌe kahāñ jaa.eñ phir ham musībat ke maare
qadāmat-pasandoñ pe kyuuñ hañs rahe ho ḳhudā kī qadāmat-pasandī to dekho
hazāroñ nahīñ balki lākhoñ baras se vahī kahkashāñ hai vahī chāñd taare
mire ashk-e-ḳhūnīñ kī gul-kāriyoñ se zamāne ko rangīñ qabā.eñ milī haiñ
junūn-e-mohabbat kā ye faiz samjhūñ bayābāñ meñ bhī haiñ chaman ke nazāre
na ġham mujh ko girdāb-e-ranj-o-balā kā na muhtāj huuñ maiñ kisī nāḳhudā kā
safīne ko maujoñ kī zad se bachā kar chalā jā rahā huuñ kināre kināre
tirī ḳhashmagīñ aañkh kī gardishoñ ne zamāne ko zer-o-zabar kar diyā hai
sahāroñ pe koī bharosa kare kyā sahāre to ḳhud DhūñDte haiñ sahāre
usī rū-e-raushan ko ham chāhte haiñ umīdoñ ko tārīk jis ne kiyā hai
usī māh-e-tābāñ ko ham DhūñDte haiñ dikhā.e haiñ din ko hameñ jis ne taare
tire shauq meñ jo chalā jā rahā hai jo raste kī mushkil se ghabrā rahā hai
kabhī apnī manzil pe jā hī rahegā magar shart ye hai ki himmat na haare
sunā hai ki shā'ir ho ai 'josh' tum bhī nazar bāġh-e-jannat pe kyuuñ hai tumhārī
musaddas meñ haalī to ye kah ga.e haiñ jahannam ko bhar deñge shā'ir hamāre
kitabon ne go istiaron mein hum ko batae bahut se Thikane tumhaare
magar kuchh wazahat se apna pata do samajhte nahin hum ye mubham ishaare
har ek phul gulshan mein ye kah raha hai har ek jam-e-mai se ye hum sun rahe hain
zamane ki nazron mein ghar hai usi ka jo hans hans ke din zindagi ke guzare
na ahl-e-haram ne madad ki hamari na ahl-e-kalisa ne gham-KHwariyan kin
agar tu bhi tarz-e-taghaful na chhoDe kahan jaen phir hum musibat ke mare
qadamat-pasandon pe kyun hans rahe ho KHuda ki qadamat-pasandi to dekho
hazaron nahin balki lakhon baras se wahi kahkashan hai wahi chand tare
mere ashk-e-KHunin ki gul-kariyon se zamane ko rangin qabaen mili hain
junun-e-mohabbat ka ye faiz samjhun bayaban mein bhi hain chaman ke nazare
na gham mujh ko girdab-e-ranj-o-bala ka na muhtaj hun main kisi naKHuda ka
safine ko maujon ki zad se bacha kar chala ja raha hun kinare kinare
teri KHashmagin aankh ki gardishon ne zamane ko zer-o-zabar kar diya hai
sahaaron pe koi bharosa kare kya sahaare to KHud DhunDte hain sahaare
usi ru-e-raushan ko hum chahte hain umidon ko tarik jis ne kiya hai
usi mah-e-taban ko hum DhunDte hain dikhae hain din ko hamein jis ne tare
tere shauq mein jo chala ja raha hai jo raste ki mushkil se ghabra raha hai
kabhi apni manzil pe ja hi rahega magar shart ye hai ki himmat na haare
suna hai ki sha'ir ho ai 'josh' tum bhi nazar bagh-e-jannat pe kyun hai tumhaari
musaddas mein haali to ye kah gae hain jahannam ko bhar denge sha'ir hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.