kitna dushwar hai jazbon ki tijarat karna
kitnā dushvār hai jazboñ kī tijārat karnā
ek hī shaḳhs se do baar mohabbat karnā
jis ko tum chāho koī aur na chāhe us ko
is ko kahte haiñ mohabbat meñ siyāsat karnā
surma.ī aañkh hasīñ jism gulābī chehrā
is ko kahte haiñ kitābat pe kitābat karnā
dil kī taḳhtī pe bhī āyāt likhī rahtī haiñ
vaqt mil jaa.e to un kī bhī tilāvat karnā
dekh lenā baḌī taskīn milegī tum ko
ḳhud se ik roz kabhī apnī shikāyat karnā
jis meñ kuchh qabreñ hoñ kuchh chehre hoñ kuchh yādeñ hoñ
kitnā dushvār hai us shahr se hijrat karnā
kitna dushwar hai jazbon ki tijarat karna
ek hi shaKHs se do bar mohabbat karna
jis ko tum chaho koi aur na chahe us ko
is ko kahte hain mohabbat mein siyasat karna
surmai aankh hasin jism gulabi chehra
is ko kahte hain kitabat pe kitabat karna
dil ki taKHti pe bhi aayat likhi rahti hain
waqt mil jae to un ki bhi tilawat karna
dekh lena baDi taskin milegi tum ko
KHud se ek roz kabhi apni shikayat karna
jis mein kuchh qabren hon kuchh chehre hon kuchh yaaden hon
kitna dushwar hai us shahr se hijrat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.