kitna kamzor hai iman pata lagta hai
kitnā kamzor hai īmān patā lagtā hai
ghar meñ aayā huā mehmān burā lagtā hai
maiñ ne hoñToñ pe tabassum to sajā rakkhā hai
ġham bhulāne meñ magar vaqt baḌā lagtā hai
aap bekār mujhe shajara dukhāne aa.e
aap jo bhī haiñ vo lahje se patā lagtā hai
jab milātā huuñ nazar to nahīñ miltī nazreñ
jab haTātā huuñ nazar us ko burā lagtā hai
titliyāñ ban ga.iiñ phir aaj vafādār ka.ī
baaġh meñ koī nayā phuul khilā lagtā hai
yuuñ ġham-e-hijr ko duniyā se chhupātā huuñ magar
kitnā kamzor huuñ āñkhoñ se patā lagtā hai
kitna kamzor hai iman pata lagta hai
ghar mein aaya hua mehman bura lagta hai
main ne honTon pe tabassum to saja rakkha hai
gham bhulane mein magar waqt baDa lagta hai
aap bekar mujhe shajara dukhane aae
aap jo bhi hain wo lahje se pata lagta hai
jab milata hun nazar to nahin milti nazren
jab haTata hun nazar us ko bura lagta hai
titliyan ban gain phir aaj wafadar kai
bagh mein koi naya phul khila lagta hai
yun gham-e-hijr ko duniya se chhupata hun magar
kitna kamzor hun aankhon se pata lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.