kitna sada shabab lagti ho
kitnā saada shabāb lagtī ho
ek taaza gulāb lagtī ho
aap husn-o-jamāl kī sūrat
ek shā.ir kā ḳhvāb lagtī ho
āsmāñ ke sabhī sitāroñ meñ
ik tumhīñ āftāb lagtī ho
kyuuñ nasha ban ke chaḌh ga.iiñ mujh par
haañ purānī sharāb lagtī ho
zulf uljhī huī hai sāvan sī
barsā barsā shabāb lagtī ho
jis pe har baar maiñ aTaktā huuñ
vo savāl ai hisāb lagtī ho
chāñd chhuptā hai tum se sharmā kar
kitnī tum lā-javāb lagtī ho
ek muddat dabī dabī rah kar
aaj tum inqalāb lagtī ho
mujh ko dekhā jo saath ġhairoñ ke
tum to jal kar kabāb lagtī ho
ab ḳhayāloñ meñ bhī nahīñ ho tum
ik mukammal azaab lagtī ho
tum ne 'zuhaib' ko jo Thukrāyā
ḳhud bhī ḳhāna-ḳharāb lagtī ho
kitna sada shabab lagti ho
ek taza gulab lagti ho
aap husn-o-jamal ki surat
ek shair ka KHwab lagti ho
aasman ke sabhi sitaron mein
ek tumhin aaftab lagti ho
kyun nasha ban ke chaDh gain mujh par
han purani sharab lagti ho
zulf uljhi hui hai sawan si
barsa barsa shabab lagti ho
jis pe har bar main aTakta hun
wo sawal ai hisab lagti ho
chand chhupta hai tum se sharma kar
kitni tum la-jawab lagti ho
ek muddat dabi dabi rah kar
aaj tum inqalab lagti ho
mujh ko dekha jo sath ghairon ke
tum to jal kar kabab lagti ho
ab KHayalon mein bhi nahin ho tum
ek mukammal azab lagti ho
tum ne 'zuhaib' ko jo Thukraya
KHud bhi KHana-KHarab lagti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.