kitne dariya is nagar se bah gae
kitne dariyā is nagar se bah ga.e
dil ke sahrā ḳhushk phir bhī rah ga.e
aaj tak gum-sum khaḌī haiñ shahr meñ
jaane dīvāroñ se tum kyā kah ga.e
ek tū hai baat bhī suntā nahīñ
ek ham haiñ terā ġham bhī sah ga.e
tujh se jag-bītī kī sab bāteñ kahīñ
kuchh suḳhan nāguftanī bhī rah ga.e
terī merī chāhatoñ ke naam par
log kahne ko bahut kuchh kah ga.e
kitne dariya is nagar se bah gae
dil ke sahra KHushk phir bhi rah gae
aaj tak gum-sum khaDi hain shahr mein
jaane diwaron se tum kya kah gae
ek tu hai baat bhi sunta nahin
ek hum hain tera gham bhi sah gae
tujh se jag-biti ki sab baaten kahin
kuchh suKHan naguftani bhi rah gae
teri meri chahaton ke nam par
log kahne ko bahut kuchh kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.