kitne girdab kho gae mujh mein
kitne girdāb kho ga.e mujh meñ
mere sab ḳhvāb kho ga.e mujh meñ
sādgī merī DhūñD laa.ī tumheñ
tum the chālāk kho ga.e mujh meñ
un ke hone se merā honā hai
lafz laulāk ho ga.e mujh meñ
roz Dhalte haiñ harf-o-saut ke zarf
kis ke ġham chaak ho ga.e mujhe meñ
be-jhijak mujh meñ ho ga.e ho darāz
tum to bebāk ho ga.e mujh meñ
āñsuoñ meñ tajalliyāñ jhamkeñ
durr-e-nāyāb kho ga.e mujh meñ
kitne girdab kho gae mujh mein
mere sab KHwab kho gae mujh mein
sadgi meri DhunD lai tumhein
tum the chaalak kho gae mujh mein
un ke hone se mera hona hai
lafz laulak ho gae mujh mein
roz Dhalte hain harf-o-saut ke zarf
kis ke gham chaak ho gae mujhe mein
be-jhijak mujh mein ho gae ho daraaz
tum to bebak ho gae mujh mein
aansuon mein tajalliyan jhamken
durr-e-nayab kho gae mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.