kitne gunjal paD jate hain ek girah suljhane mein
kitne gunjal paḌ jaate haiñ ek girah suljhāne meñ
umr Thikāne lag jaatī hai ret pe phuul banāne meñ
taḳht pe baiThā soch rahā huuñ maar diye haiñ kitne log
qasr ke ūñche do burjoñ par ek alam lahrāne meñ
dhartī ke qadmoñ par merī peshānī kā shamla hai
aur kahāñ tak jhuknā hogā apnā bojh uThāne meñ
tum to shahd utaar ke vāpas aa jaate ho jangal se
kitnī āñkheñ lag jaatī haiñ dard kī aag bujhāne meñ
ab ajdād kī qabreñ khod ke pūchh rahe haiñ maazī se
mustaqbil mahfūz kiyā thā tum ne kis tah-ḳhāne meñ
jismoñ ke arshe par baiTh ke ham ne dariyā paar kiyā
jaane kitne din lag jaate kashtī ke bhar jaane meñ
bāġh-e-baġhāvat mahak uThegā us ko ḳhuun se mat sīñcho
varna dīmak lag jā.egī tāqat ke kāshāne meñ
in bāñhoñ kī guuñj mayassar hai merī ḳhāmoshī ko
phir koī āvāz sunā.ī kaise de vīrāne meñ
ibrat kā juzdān khulā to hairat se halkān hue
kaise kaise ġham bikhre haiñ duniyā ke ḳhas-ḳhāne meñ
apnā aap uñDel diyā hai phir bhī surāhī ḳhālī hai
jaane kis kā jaam bharegā duniyā ke maiḳhāne meñ
kitne gunjal paD jate hain ek girah suljhane mein
umr Thikane lag jati hai ret pe phul banane mein
taKHt pe baiTha soch raha hun mar diye hain kitne log
qasr ke unche do burjon par ek alam lahrane mein
dharti ke qadmon par meri peshani ka shamla hai
aur kahan tak jhukna hoga apna bojh uThane mein
tum to shahd utar ke wapas aa jate ho jangal se
kitni aankhen lag jati hain dard ki aag bujhane mein
ab ajdad ki qabren khod ke puchh rahe hain mazi se
mustaqbil mahfuz kiya tha tum ne kis tah-KHane mein
jismon ke arshe par baiTh ke hum ne dariya par kiya
jaane kitne din lag jate kashti ke bhar jaane mein
bagh-e-baghawat mahak uThega us ko KHun se mat sincho
warna dimak lag jaegi taqat ke kashane mein
in banhon ki gunj mayassar hai meri KHamoshi ko
phir koi aawaz sunai kaise de virane mein
ibrat ka juzdan khula to hairat se halkan hue
kaise kaise gham bikhre hain duniya ke KHas-KHane mein
apna aap unDel diya hai phir bhi surahi KHali hai
jaane kis ka jam bharega duniya ke maiKHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.