kitne hath sawali hain
kitne haath savālī haiñ
kitnī jebeñ ḳhālī haiñ
sab kuchh dekh rahā huuñ maiñ
rāteñ kitnī kaalī haiñ
manzar se lā-manzar tak
āñkheñ ḳhālī ḳhālī haiñ
us ne kore-kāġhaz par
kitnī shakleñ Dhālī haiñ
sirf zafar 'tābish' haiñ ham
'ġhālib' 'mīr' na 'hālī' haiñ
kitne hath sawali hain
kitni jeben KHali hain
sab kuchh dekh raha hun main
raaten kitni kali hain
manzar se la-manzar tak
aankhen KHali KHali hain
us ne kore-kaghaz par
kitni shaklen Dhaali hain
sirf zafar 'tabish' hain hum
'ghaalib' 'mir' na 'haali' hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.