kitne jug bit gae phir bhi na bhula jae
kitne jug biit ga.e phir bhī na bhūlā jaa.e
maiñ jahāñ jā.ūñ mire saath vo chehra jaa.e
raat ab lauT chalī niiñd se jaagā jaa.e
apne kho.e hue sūraj ko pukārā jaa.e
ye damakte hue ruḳhsār chamaktī āñkheñ
zindagī kar chuke ab Duub ke dekhā jaa.e
ab ke tūfān meñ ho jaa.e na reza reza
jism kī TūTtī dīvār ko thāmā jaa.e
mohtasib shahr meñ mīzān liye phirte haiñ
ham gunahgār haiñ is shahr se bhāgā jaa.e
apne hī dil meñ kabhī jhāñk ke dekho mujh ko
maiñ koī raaz nahīñ huuñ jise samjhā jaa.e
le ke shīshe meñ chalo ātish-e-sayyāl 'shamīm'
qāzi-e-shahr ke īmān ko parkhā jaa.e
kitne jug bit gae phir bhi na bhula jae
main jahan jaun mere sath wo chehra jae
raat ab lauT chali nind se jaga jae
apne khoe hue suraj ko pukara jae
ye damakte hue ruKHsar chamakti aankhen
zindagi kar chuke ab Dub ke dekha jae
ab ke tufan mein ho jae na reza reza
jism ki TuTti diwar ko thama jae
mohtasib shahr mein mizan liye phirte hain
hum gunahgar hain is shahr se bhaga jae
apne hi dil mein kabhi jhank ke dekho mujh ko
main koi raaz nahin hun jise samjha jae
le ke shishe mein chalo aatish-e-sayyal 'shamim'
qazi-e-shahr ke iman ko parkha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.