kitne paikar KHala mein Dhaale hain
kitne paikar ḳhalā meñ Dhāle haiñ
apne alfāz phir bhī kaale haiñ
ek sūraj ne ye kahā mujh se
terī āñkhoñ meñ kaise chhāle haiñ
mere māthe pe terī qismat hai
tere sajde mire ujāle haiñ
maiñ samundar kī aañkh huuñ yaaro
tum ne dariyā bahut khañgāle haiñ
apnī ġhazloñ meñ kuchh nahīñ hamdam
sab tirī zaat ke havāle haiñ
kitne paikar KHala mein Dhaale hain
apne alfaz phir bhi kale hain
ek suraj ne ye kaha mujh se
teri aankhon mein kaise chhaale hain
mere mathe pe teri qismat hai
tere sajde mere ujale hain
main samundar ki aankh hun yaro
tum ne dariya bahut khangale hain
apni ghazlon mein kuchh nahin hamdam
sab teri zat ke hawale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.