kitni be-saKHta KHata hun main
kitnī be-sāḳhta ḳhatā huuñ maiñ
aap kī raġhbat-o-razā huuñ maiñ
maiñ ne jab saaz chheḌnā chāhā
ḳhāmushī chīḳh uThī sadā huuñ maiñ
hashr kī sub.h tak to jāgūñgā
raat kā āḳhirī diyā huuñ maiñ
aap ne mujh ko ḳhuub pahchānā
vāqa.ī saḳht bevafā huuñ maiñ
maiñ ne samjhā thā maiñ mohabbat huuñ
maiñ ne samjhā thā mudda.ā huuñ maiñ
kaash mujh ko koī batā.e 'adam'
kis parī-vash kī bad-duā huuñ maiñ
kitni be-saKHta KHata hun main
aap ki raghbat-o-raza hun main
main ne jab saz chheDna chaha
KHamushi chiKH uThi sada hun main
hashr ki subh tak to jagunga
raat ka aaKHiri diya hun main
aap ne mujh ko KHub pahchana
waqai saKHt bewafa hun main
main ne samjha tha main mohabbat hun
main ne samjha tha muddaa hun main
kash mujh ko koi batae 'adam'
kis pari-wash ki bad-dua hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.