kitni der aur hai ye bazm-e-tarab-nak na kah
kitnī der aur hai ye bazm-e-tarab-nāk na kah
raas aatī hai kise gardish-e-aflāk na kah
kyuuñ Thahartā nahīñ gulzār meñ koī mausam
kyā kashish rakhtī hai ḳhushbū-e-tah-e-ḳhāk na kah
dekh to rañg tamannāoñ kī betābī ke
kal fanā hai magar ai sāhab-e-idrāk na kah
dard kī aañch abad tak hai kisī ruup meñ ho
aaj ke phuul ko ā.inda ke ḳhāshāk na kah
lafz kī zarb to hai sā.iqa-o-sañg se saḳht
dil bahut narm haiñ nā-gufta-o-be-bāk na kah
ġham-gusāroñ ko bhī hai apne hī ālām se kaam
dil pe jo biitī hai ai dīda-e-namnāk na kah
shauq hī ziist bhī hai ziist kī āgāhī bhī
is masīhā-nafas-āzār ko saffāk na kah
dil-e-farhād junūñ-fahm ko nādāñ na samajh
chashm-e-parvez-e-tunuk-hosh ko chālāk na kah
ḳhud-numā.ī thī ki thā mahbas-e-pindār kā ḳhauf
qais ke jaib-o-garebāñ rahe kyuuñ chaak na kah
bujh na jaa.eñ kahīñ dil ahl-e-tamannā ke 'ziyā'
kaise sho.aloñ se hai ye jashn-e-tarab-nāk na kah
kitni der aur hai ye bazm-e-tarab-nak na kah
ras aati hai kise gardish-e-aflak na kah
kyun Thaharta nahin gulzar mein koi mausam
kya kashish rakhti hai KHushbu-e-tah-e-KHak na kah
dekh to rang tamannaon ki betabi ke
kal fana hai magar ai sahab-e-idrak na kah
dard ki aanch abad tak hai kisi rup mein ho
aaj ke phul ko aainda ke KHashak na kah
lafz ki zarb to hai saiqa-o-sang se saKHt
dil bahut narm hain na-gufta-o-be-bak na kah
gham-gusaron ko bhi hai apne hi aalam se kaam
dil pe jo biti hai ai dida-e-namnak na kah
shauq hi zist bhi hai zist ki aagahi bhi
is masiha-nafas-azar ko saffak na kah
dil-e-farhad junun-fahm ko nadan na samajh
chashm-e-parwez-e-tunuk-hosh ko chaalak na kah
KHud-numai thi ki tha mahbas-e-pindar ka KHauf
qais ke jaib-o-gareban rahe kyun chaak na kah
bujh na jaen kahin dil ahl-e-tamanna ke 'ziya'
kaise shoalon se hai ye jashn-e-tarab-nak na kah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.