kitni mushkil hai ki mushkil ki taraf jaana hai
kitnī mushkil hai ki mushkil kī taraf jaanā hai
ḳhud se chal kar mujhe qātil kī taraf jaanā hai
dil ye kahtā hai ki girdāb meñ le chal kashtī
zehn kahtā hai ki sāhil kī taraf jaanā hai
raah dushvār hai to azm salāmat hai mirā
mujh ko har haal meñ manzil kī taraf jaanā hai
mujh se dekhā nahīñ jā.egā taḌapnā jis kā
kyā sitam hai usī bismil kī taraf jaanā hai
baḌhtī jaatī hai musalsal hī ye vahshat dil kī
kyā mujhe tauq-o-salāsil kī taraf jaanā hai
rāhbar hogā na raste meñ luTere hoñge
le ke a.amāl hī manzil kī taraf jaanā hai
manzil-e-karb-o-balā is se hai aage 'ahsan'
lauT jaa.e jise bātil kī taraf jaanā hai
kitni mushkil hai ki mushkil ki taraf jaana hai
KHud se chal kar mujhe qatil ki taraf jaana hai
dil ye kahta hai ki girdab mein le chal kashti
zehn kahta hai ki sahil ki taraf jaana hai
rah dushwar hai to azm salamat hai mera
mujh ko har haal mein manzil ki taraf jaana hai
mujh se dekha nahin jaega taDapna jis ka
kya sitam hai usi bismil ki taraf jaana hai
baDhti jati hai musalsal hi ye wahshat dil ki
kya mujhe tauq-o-salasil ki taraf jaana hai
rahbar hoga na raste mein luTere honge
le ke aamal hi manzil ki taraf jaana hai
manzil-e-karb-o-bala is se hai aage 'ahsan'
lauT jae jise baatil ki taraf jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.