kitni muztar thi shab sitaron mein
kitnī muztar thī shab sitāroñ meñ
os Dhaltī rahī sharāroñ meñ
patte patte kī ruuh jal uTThī
kaisī sozish thī shāḳh-sāroñ meñ
aao jashn-e-ḳhizāñ manā.eñ ham
ajnabiyyat sī hai bahāroñ meñ
chashm-e-māzī ke ḳhushk aañsū haiñ
zarre uḌte haiñ jo ġhubāroñ meñ
kaif-e-ġham se jo ho ga.e vāqif
the fasurda vo ġhamgusāroñ meñ
naav shāyad kisī kī Duub ga.ī
ek halchal sī hai kināroñ meñ
phuul ban kar jo dil meñ rahtī hai
'baḳht' kaisī ḳhalish hai ḳhāroñ meñ
kitni muztar thi shab sitaron mein
os Dhalti rahi shararon mein
patte patte ki ruh jal uTThi
kaisi sozish thi shaKH-saron mein
aao jashn-e-KHizan manaen hum
ajnabiyyat si hai bahaaron mein
chashm-e-mazi ke KHushk aansu hain
zarre uDte hain jo ghubaron mein
kaif-e-gham se jo ho gae waqif
the fasurda wo ghamgusaron mein
naw shayad kisi ki Dub gai
ek halchal si hai kinaron mein
phul ban kar jo dil mein rahti hai
'baKHt' kaisi KHalish hai KHaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.